Jisam Sey Khoon Tak Nichoor Leta Hai

Jisam Sey Khoon Tak Nichoor Leta Hai 
Ishaq Jab Hijar Aour Leta Hai


Khuda Bhi Aakhir Poochey Ga Mujh Sey

Khuda Bhi Aakhir Poochey Ga Mujh Sey 
Mujhe Paanch Waqat Aour Ussay Har Waqat 


Khushi Meri Talaash Mein Younh Hi Phirti Rahi

Khushi Meri Talaash Mein Younh Hi Phirti Rahi 
Kabhi Ussay Mera Ghar Na Mila To 
Kabhi Ussay Hum Ghar Mein Na Miley

Meri Sajdon K Tasalsul Ko Tu Kya Jaane Aye Hum-Nasheen

Meri Sajdon K Tasalsul Ko Tu Kya Jaane Aye Hum-Nasheen 
Sar Jhukta To Tujhey Maange, Haath Uthaaya To Tujhey Maanga


Har Aik K Naam Peh Nahi Ruktin Saahib

Har Aik K Naam Peh Nahi Ruktin Saahib 
Dharkanein Bohat Ba-Asool Hoti Hain 


Uss Ka Miyaar Abhi Mujh Sey Judaa Hai Lekin

Uss Ka Miyaar Abhi Mujh Sey Judaa Hai Lekin 
Woh Bhi Bikhrey Ga To Ho Jaaye Ga Merey Jaisa 


Ek Udaasi Karti Jaaye Gi Siraaiyat Rooh Mein

Ek Udaasi Karti Jaaye Gi Siraaiyat Rooh Mein 
Es Qadar Wabastigi Achhi Nahi Shaam Sey


Akaela Waaras Hoon Main Uss Ki Nafratoon Ka

Akaela Waaras Hoon Main Uss Ki Nafratoon Ka 
Woh Shakhs Jo Saarey Shehar Mein Piyaar Baanta Hai 

Agar Mohabbat Ki Had Nahin Koi

Agar Mohabbat Ki Had Nahin Koi  
Dard Ka Hisaab Bhi Kiyun Rakhun 

Khuda Karey Salamat Rahey Kisi Dua Ki Tarah

Khuda Karey Salamat Rahey Kisi Dua Ki Tarah 
Ik Tu Aour Doosra Muskhurana Tera 


Like This Post?

To Submit Your Own (Guest Post)Submit Your Article





Sheeza Tehreem

Author :

Hello Everyone..
Sheeza Is Here From Pakistan.
Enjoy Poetry...
Please Follow Me On Social Networks..
Facebook Twitter Google+
Share

Post a Comment

 
Top