Ab K Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Koi Imkaan Janaa
Yaad Keya Tujh Ko Dilaaen Terey Pemaan, Janaa
Younhi Mousam Ki Adaa Dekh K Yaad Aaya Hai
Kiss Qadar Jald Badal Jaatey Hain Insaan, Janaa
Zindagi Teri Ataa Ki Thi So Terey Naam Ki Hai
Hum Ne Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsaan, Janaa
Dil Yeh Kehta Hai K Shaayed Ho Fasurdah Tu Bhi
Dil Ki Keya Baat Karen Dil To Hai Nadaan, Janaa
Awwal Awal Ki Mohabbat K Nashey Yaad To Kar
Be Piye Bhi Tera Chehra Tha Gulistaan Janaa
Aakhir Aakhir To Yeh Aalam Hai K Ab Hoosh Nahi
Rag-E-Meena Sulag Uthi K Rag-E-Jaan, Janaa
Mudatoon Sey Yahi Aalam Na Tawaqo Na Umeed
Dil Pukare Hi Chalay Jaaye Hai Janaa, Janaa
Ab Ke Kuch Aisey Saji Mehfil-E-Yaraan Janaa
Sar Ba-Zaanoon Hai Koi Sar Ba-Grebaan, Janaa
Har Koi Apni Hi Awaaz Sey Kaanp Uthta Hai
Har Koi Apney Hi Saaye Sey Harasaan, Janaa
Jiss Ko Dekho Wohi Zanjeer-Baapa Lagta Hai
Shaher Ka Shaher Huwa Dakhil-E-Zindaan, Janaa
Hum Ke Roothi Hui Rut Ko Bhi Mana letey the
Hum Ney Dekha Hi Na Tha Mousam-E-Hijraan, Janaa
Hum Bhi Keya Saada They Hum Ney Bhi Samajh Rakha Tha
Gham-E-Doraan Sey Judaa Hai Gham-E-Janaa, Janaa
Ab Tera Zikar Bhi Shaayed Hi Ghazal Mein Aaye
Aour Sey Aour Huwey Dard Ke Unwaan, Janaa
Hosh Aaya To Sabhi Khuwab They Reiza Reiza
Jaisey Urtey Huwey Aoraaq-E-Preshaan, Janaa
Like This Post?
To Submit Your Own (Guest Post)Submit Your Article
Post a CommentGoogle+ OR Blogger