Aaj December Ki Aakhiri Shabb Mein

Aaj December Ki Aakhiri Shabb Mein 
Shabb-e-Tanhai Mein 
Apne Terrace Peh Khari Kaafi Dair Se Main 
Chodhwin K Chaand Ko Dekh Rahi Thi 
Jis Ki Chaandni Mein 
Main Bheeg Gayi Thi 
Aur Uss Manzar Mein 
Itni Doob Gayi Thi 
K Mujhe Khabar Bhi Na Ho Saki 
K Kab 
Uss Ne Meri Bikhri Zulfon Ko Sameeta Tha 
Aur! 
Chhupke Se Kaanon Mein Sargooshi Ki Thi 
Apni Mohabbat Ka Izhaar Kiya Tha 
Mujhe Ehad-e-Wafaa Mein Baandh Kar Gaya Tha 
Wo Lamha Itna Haseen Tha 
K! 
Hayaa Se Meri Palkein Jhuk Si Gayi Thin 
Main Apne Aap Mein Simat Si Gayi Thi 
Pichhle Saal December K Shabb Aesi Hi Thi 
Aur Aaj December Ki Aakhiri Shabb Hai 
Aur Main 
Yeh Soch Rahi Hoon K!! 
Aaj Wo Kis K Saath Ho Ga..? 
K Aaj Wo..!!
Kisi Ko Apni Wafaa Ka Yaqeen Dila Raha Ho Ga..


Like This Post?

To Submit Your Own (Guest Post)Submit Your Article





Sheeza Tehreem

Author :

Hello Everyone..
Sheeza Is Here From Pakistan.
Enjoy Poetry...
Please Follow Me On Social Networks..
Facebook Twitter Google+
Share

Post a Comment

 
Top